Showing posts with label Hindi Shayari. Show all posts
Showing posts with label Hindi Shayari. Show all posts

Tuesday, November 29, 2011

0 comments

Sms hindi : Tere AKELEPAN Me Sath Tera Nibhayenge

Tere AKELEPAN Me Sath Tera Nibhayenge,

Teri TANHIYON Me Tere Paas Hum Aayenge,

Tu Ek Baar Mujhe AWAZ Dekar To Dekh,

Khud RO Kar Bhi humTujhe Hasaynge...

Gud Day

Sunday, December 5, 2010

0 comments

Yeh Kaisi Bebasi Hai ?

Na Tujhe Chod Sakte Hain Tere Ho Bhi Nahi Sakte
Yeh Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Ro Bhi Nahi Sakte

Yeh Kaisa Dard Hai Pal-Pal Humein Tadpaaye Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir So Bhi Nahi Sakte

Chhupa Sakte Hain Aur Na Dikha Sakte Hain Logon Ko
Kuch Aise Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dho Bhi Nahi Sakte

Kahaa To Tha Chod Denge Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhein Paa To Nahi Sakte Magar Kho Bhi Nahi Sakte

Hamaaraa ek Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab To
Jeeyein Kaise Ke Tum Se Door Reh Bhi Nahi Sakte....

**************************************

Dil Se (pls reply) Hindi Shayari, Good Sayari, Cool Shayari

Mohabbat ka ajeeb karobaar hum ne kiya,
Woh be wafa sehi magar pyaar hum ne kiya,
agar woh chor gya to mat keho bura us ko,
Qasoor uska nhe "Aitebaar" hum ne kiya !

***************************************

Unhe to fursat nahi hume yaad karne ki
humara waqt guzarta hai unki fariyad karke
wo aaye mere lash pe to kehna
abhi soya hai tujhe yaad karke !

***************************************

Pal bhar mein tut jaye wo kasam nahi,
ishq ko bhool jaye wo hum nahi,
tum bewafa bano is baat mein dam nahi,
kyunki hamari wafa bhi kuchh kam nahi.

***************************************

Chahte the jinhe unke dil badal gaye
samandar gehre the sahil badal gaye
Katal aisa hua tukdo me mera
kabhi badle khanzar to kabhi katil badal gaye.

***************************************

hum uski yaad mai barso rote rahe
Bewafa wo nikle badnam hum hote rahe..
pyar me madhoshi ka aalam to dekhiye,
dhul chehre pe thi aur hum aaina dhote rahe.

***************************************

Gamo ki Barsaat Samete Huay Betha hu.
Kisi Bewafa se Dhokha Khai Bhetha hu.
Jane Kab Dega Uper wala Mot Mujh ko,
Ab To bas Khuda ke Bharosay Aas lagay Betha hu.

***************************************

Unko Apne Haal ka Hisaab Kya Dete?
Sawal Saare Galat The, Hum Jawab Kya Dete?
Wo Toh Lafzo Ki Hifazat Bhi Naa Kr Sake...
Phr Unke Hath Mein Zndgi Ki Puri Kitaab Kya Dete???

***************************************

Raha jo dil mein dhadkan ban ke
bichda mujhse vo bewafa ban ke
na ummid rahi jeene ki ab ae dosto
milli hamein dava bhi ek sazaa ban ke.

***************************************

aub toh gham sehne ki aadat si ho gayi hai
raat ko chhup chhup rone ki aadat si ho gayi hai
tu Bewafa hai….khel mere dil se ji bhar ke
hamein toh ab chot khaane ki aadat si ho gayi hai.

***************************************

Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye.

**************************************
Dosto aap ke bahut saare emails
mil rahe hai shukriya ummid hai
or bhi aisa hi pyaar dete rahoge email ke jariye.

Teri Judaai Sayari, Hindi Sayari, Gazal, Sweet Gajal

Teri judaai mein roney ki aadat hogaye..
Ke tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee

Tum laut ke aaogey humsey milney
Roz dil ko behlaney ki aadat hogayee

Terey waadey pe kya bharosa kiya humney
Keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee

Khushi mein bhi hum kya muskuratey keh
Teri judaai mein roney ki aadat hogayee

Kaafiley nikal gaye humein chhor keh
Keh ab tou tanha safar ki aadat hogayee

Har morh par mili ghum ki parchhaiyaan
Zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee

Jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamarey
Phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee

Paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom *saahil*
Keh bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee

Friday, June 25, 2010

0 comments

hindi shayari, urdu shayari, Bewafai Shayari love shayari,

Apne hatho se yu chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho to samne ate q ho.
Tum kabhi meri tarah kar b lo ikraar-e-wafa,
pyar karte ho to phir pyar ko chupate q ho.
Aashk ankho mai meri dekh k rote kyu ho,
Dil bhar ata hai to phir dil ko dhukate q ho.
Roz mar mar k mujhe jeeney ko kehte q ho,
milne atey ho to phir laut k jatey q ho

Intezaar to karein ke jab vo aaye bhi



Intezaar to karein ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayein hum chhodein jo mere saaye bhi

Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhenge apne aur paraaye bhi

Vo gair hai to gair ban na bhi seekh le
Yaadon mein aake baar-baar aazmaaye bhi

Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi

Shikwa bhi to kya karein hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhon rehnuma paaye bhi.

Sweet Shayari Hindi Shayari Best Hind Shayari

ham ne jaab pyaar jataya to bura man gaye
haale dil apna sunaya to buraa man gaye

pyaar kar te hei un hei kab se chupaya ham ne
aaj ezhaar e wafa ki to buraa man gaye

ruth kar jo wo ham se yun jane lage
chale tareef ki haam ne buraa maan gaye

wo bhi kar te hei hame pyaar ye malum hua
un ki tabbasum chupi haam peh chan gaye

pyaar kar te ho to ham se chupate kun ho
ab to ham aap ka hale dil haye jan gaye

sari dunia ko deewaana bana rakkha he
raaz ye kya he or kun ye ham pehchan gaye

Sunday, June 20, 2010

0 comments

Waqt Mila Tab Yaad Karti Ho : hindi shayari urdu shayari love shayari


Waqt Mila Tab Yaad Karti Ho,
Mud Hua Tab Baat Karti Ho,
1 Zamana Tha Jb 1 Pal Bhi Rah Nahi Sakti Thi
Bina Is Dost Ke,Ab To Yaad Bhi 1 Zamane Ke Baad Karti Ho !!

Dost Dost Nahi Khuda Hota Hai,
Mahsus Tab Hota Hai,
Jab Wo Juda Hota Hai,
Bina Dost Ke Jina 1 Saja Hota Hai !!

Koshish Karo Koi Aapse Na Ruthe Zindgi Me
Apno Ka Sath Na Chhute Rishta Koi Bhi Ho
Use Aise Nibhao Ki Us Rishte Ki Dor Zindgi Bhar Na Tute !!

Tohfa Kya De Tohfa To Hume Mila Hai,
Khuda Ne Aap Jaisa Dost Jo Diya Hai
Wo Tohfa Hi Kya Jiska Koi Mol Ho,
Tohfa To Wo Hai Jo Aapsa Anmol Ho !!

Kya Mangu Khuda Se Aapko Pane Ke Baad
Kiska Karu Intzar Aap Ke Aane Ke Baad
Kyu Dosti Pe Jaan Luta Dete Hai Log
Malum Hua Aapko Dost Banane Ke Baad !!

Dost Ko Dost Ka Ishara Yaad Rehta Hai
Har Dost Ko Aapna Dostana Yaad Rehta Hai
2 Pal Sachhe Dost Ke Sath To Guzaro Maut
Tak Vo Nazara Yaad Rehta Hai !!

Dosti Karna Accha Hai,
Dosti Nibhana Farz Hai,
Dosti Todna Bewkufi Hai,
Or Dosto Ko Disturb Karna...
"Haq Banta Hai Yaaar"

Khuda Ne Dost Ko Dost Se Milaya
Dost Ke Liye Dosti Ka Rista Banaya
Par Kehte He Dosti Rahegi Usi Ki
Kayam Jisne Dosti Ko Dil Se Nibhaya !!

Kimat Pani Ki Nahi Pyas Ki Hoti Hai
Kimat Maut Ki Nahi Saans Ki Hoti Hai
Dost To Bahut He Duniya Me
Kimat Dost Ki Nahi Vishwaas Ki Hoti Hai !!

Saturday, June 19, 2010

0 comments

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata



Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata


kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata


yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai


jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi

to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain


hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata


kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain


tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata


bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein


mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

Rahgujar suni si rahi unki ek jhalak pane ko hum taras gaye


Rahgujar suni si rahi unki ek jhalak pane ko hum taras gaye

Kabhi socha na tha is kadar paagalpan pyaar ka cha jayega


mai ibadat karunga khuda ki or hotho par unka naam aayega,,,,

chand or chakor ki tarah ye paagal intjaar karta rah jayega


unki reshmi julfon ke saye ko mahsoos bhi na kar payega,,,,,, ,

e kaas,,,ki vo yaado se nikalkar mere saamne aa jaye


chod ke saari duniya ko bas mera hi saath nibhaye,,,

Bhool gaye jo khushiya hum apne yaar ki galiyon me


kaas,,,,vo hi khushiya hume fir se apne paas bulaaye,,,

e kaas,,, ki ye karishma ek baar humare saath bhi ho jaye,,,


Ki mai yaad karu khuda ko or saamne mahaboob aa jaye,,,,,,,, ,,,

Dard he dard hain Zindagi me



Maut mangate hai to jindagi khafaa ho jaati hai,
jahar lete hai to wo bhi dawa ho jati hai,
tu hi bata e mere dost kya karu,
jisako bhi chaahte hai bewafa ho jaati hai...



us ko chaha lekin izhar karna na aayakat gayi umar
sari magar pyar karna na aayausne manga kuch to,
judai mangiaur hume inkar karna na aaya...



jeene ki nayi adaa di haikhush rahne ki unhone dava di
haiai khuda unhe sara jaha denajinho ne apne dil me
hume thodi si jagah di hai....



dunia me jine ki chahat na hotiagar khuda ne
muhobbat banayi na hotilog marne ki arzoo na
karteagar muhobbat me bewafai na hoti......

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai



Zakham Khaana To Apni Aadat Hai

Muskurana To Apni Aadat Hai



Roshni Ho Ke Ghup Andeihra Ho

Dil Jalaana To Apni Aadat Hai



Aap Kab Tak Sanbhaliye Ga Humein

Larrkharrana To Apni Aadat Hai



Hein Sitamgar Khafa To Honey Do

Sar Utaana To Apni Aadat Hai



Raah Chalti Hui Museebat Ko

Ghar Bulaana To Apni Aadat Hai



Uss Ki Aankhon Say Kya Gila Raahi!!
Doob Jaana To Apni Aadat Hai

Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhe Khonay Se Darti Thi



Meri Aankhon Pe Marti Thi

Meri Baton Pe Hansti Thi

Na Janay Woh Ladki Thi Kaisi

Mujhe Khonay Se Darti Thi



Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi

Yahi Har Baar Kehti Thi

Suno!!

Agar Main Bhool Jaoon To

Agar Main Rooth Jaoon To



Kabhi Wapis Na Aoon To

Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch?

Younhi Hanstay Raho Gay Kya?

Younhi Sajtay Raho Gay Kya?



Yahi Batain Hain Bas Uski

Yahi Yaadain Hain Bas Uski

Yahi Chahat Hai Bas Uski

Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!



Mujhay Woh Pyar Karti Thi

Mujhay Khonay Se Darti Thi...!!!

hindi shayari urdu shayari love shayari



Guzaarey Thay Woh Pyarey Lamhey, Jo Banhon Mein Ter

~~*Guzaarey Thay Woh Pyarey Lamhey, Jo Banhon Mein Teri~~*




Guzaarey Thay Woh Pyarey Lamhey, Jo Baanhon Mein Teri

Khusboo Ban Ke Jee Rahey Hain, Woh Saanson Mein Mairi




Haathon Mein Utha Loon Tum Ko, Barra Lamba Hai Safar

Chubhey Kaantey Sab Mujhey Woh, Jo Hon Raahon Mein Teri




Pakra Haath Tha Jo Tumhara, Wajah Uss Ki To Yehi Thi

Sachaai Jhalak Rahi Thi Aisey, Sab Waadon Mein Teri




Kuch Bhi Kaho Ye Bandhan, Itna Kamzor To Nahin Hai

Ke Bass Reh Jaaon Ikk Yaad Ban Kar, Yaadon Mein Teri




Kaisey Bhula Doon Pal Woh Saarey, Jab Tum Ne Ye Kaha Tha

Ke Tumhari Dunya To Abb Rahey Gi, Sada Baanhon Mein Mairi




Abb Kehte Ho Tum Ke Raasta, Mujh Say Kar Liya Juda Hai

Kya Pehley Ki Tarah Phir Aa Jaoon, Main Baaton Mein Teri?




Mairey Pyar Ki Hai Jo Shidat, Tumhein Khoob Khabar Hai Iss Ki

Har Aansoo Mairi Aankh Say Nikla, Tha Jo Aankhon Mein Teri




Dil Ko Jala Loon Apney, Par Itni Sii Shart Pey 'Gargi'

Jo Iss Ke Jalney Say Roshni Aa Jayey, Yoon Raaton Mein Teri !

Friday, June 18, 2010

0 comments

Jindgi Har Pal Khas Nahi Hoti




Jindgi Har Pal Khas Nahi Hoti

Phulo Ki Khusbu Hamesa Pass Nahi Hoti

Milna Meri Taqdir Me Likha Tha Varna

Itni Pyari Dosti Kabhi Itefaq Nahi Hoti !!



Love Bade Sharart Ka Anjam Hai Dosti

Kahu Uski Har Rishto Ka Paigam Hai Dosti

Din Rat Masti Ka Naam Hai Dosti

Lekin Aapke Msg Bina Bejan Hai Dosti !!



Kyu Mushkilo Me Sath Dete He Dost

Kyu Gamko Baat Lete He Dost

Na Rishta Khun Ka Na Riwaj Se

Bandha Hai Fir Bhi Zindgi Bhar Sath Dete He Dost !!



Kehte Hai Har Baat Kisi Ko Kahi Nahi Jati

Apno Ko Bhi Batai Nahi Jati Par Dost To

Dil Ka"Aaina" Hota Hai Or Aaine Se "Surat"Chupaai Nahi Jati !!



Thodi Shararat Thodi Ruswaai,

Bahut Sara Apnapan Thodi Ladai.

Na Ho Faasle Kabhi Na Kabhi Duri,

Bas Isi Tarha Dosti Me Mit Jaye Zindgi Puri !!



Agar Jawab Dogi To Baat Karenge!

Nahi Dogi To Intezar Karenge!

Dosti Ki Hai Aapse Isliye Marte Dam Tak,

Aap Ko Har Pal Yaad Karenge !!

love hindi poetry hindi ghazal


Safar tanha nahin karte
Suno aisa nahin karte

Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte

Suno jis ka muqaddar ho ussey choda nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte

Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt bohut socha nahin kartey

Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte

Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte

hindi shayari urdu shayari love shayari

I will always show You that I love you.

and give the best of me I can

I will always be there to comfort you and try to protect you from all harm

with everything who I am??


I will always open up my heart to you and be not only your lover but your best friend

I will always be someone who you can talk to and when it is needed just listen as

I'll be the one whom you can always depend.

I will always give you my strength

if you ever feel that you are not strong

I will always try to do my utmost

and support you in every way I know how

to right anything that has gone wrong.

I will always accept you for who are

and love you unconditionally

I will always try to make you feel good about yourself

and make you feel needed and important

as someone who means the world to me

Thursday, June 17, 2010

0 comments

Dard Shayari hindi ghazals, hindi urdu, hindi love sms,

hindi shayari, urdu shayari, love shayari,

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai

Muskurana To Apni Aadat Hai



Roshni Ho Ke Ghup Andeihra Ho

Dil Jalaana To Apni Aadat Hai



Aap Kab Tak Sanbhaliye Ga Humein

Larrkharrana To Apni Aadat Hai



Hein Sitamgar Khafa To Honey Do

Sar Utaana To Apni Aadat Hai



Raah Chalti Hui Museebat Ko

Ghar Bulaana To Apni Aadat Hai



Uss Ki Aankhon Say Kya Gila Raahi!!
Doob Jaana To Apni Aadat Hai

Mujhe Khonay Se Darti Thi :hindi shayari, urdu shayari, love shayari,


Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhe Khonay Se Darti Thi



Meri Aankhon Pe Marti Thi

Meri Baton Pe Hansti Thi

Na Janay Woh Ladki Thi Kaisi

Mujhe Khonay Se Darti Thi



Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi

Yahi Har Baar Kehti Thi

Suno!!

Agar Main Bhool Jaoon To

Agar Main Rooth Jaoon To



Kabhi Wapis Na Aoon To

Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch?

Younhi Hanstay Raho Gay Kya?

Younhi Sajtay Raho Gay Kya?



Yahi Batain Hain Bas Uski

Yahi Yaadain Hain Bas Uski

Yahi Chahat Hai Bas Uski

Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!



Mujhay Woh Pyar Karti Thi

Mujhay Khonay Se Darti Thi...!!!

Hindi Shayari Bewafai Shayari Urdu Shayari Love Shayari

tere ishq me mare ham
bas ye dua he rab se
ki wafaye hi kare ham
na gila he koi tujh se
na he koi shikayat
ye dua he ab to rab se
bas tu hame hi chahe
tujhe dil hi dil me chaha
na bataya ham ne tujhse
taa umr tujh ko chaha
na huwe - door - tujhse
ye waada aaj tujh se
ke wafaa karenge tujhse