Showing posts with label Urdu Poem. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poem. Show all posts

Friday, June 25, 2010

0 comments

Sweet Shayari Hindi Shayari Best Hind Shayari

ham ne jaab pyaar jataya to bura man gaye
haale dil apna sunaya to buraa man gaye

pyaar kar te hei un hei kab se chupaya ham ne
aaj ezhaar e wafa ki to buraa man gaye

ruth kar jo wo ham se yun jane lage
chale tareef ki haam ne buraa maan gaye

wo bhi kar te hei hame pyaar ye malum hua
un ki tabbasum chupi haam peh chan gaye

pyaar kar te ho to ham se chupate kun ho
ab to ham aap ka hale dil haye jan gaye

sari dunia ko deewaana bana rakkha he
raaz ye kya he or kun ye ham pehchan gaye

Sunday, June 20, 2010

0 comments

Waqt Mila Tab Yaad Karti Ho : hindi shayari urdu shayari love shayari


Waqt Mila Tab Yaad Karti Ho,
Mud Hua Tab Baat Karti Ho,
1 Zamana Tha Jb 1 Pal Bhi Rah Nahi Sakti Thi
Bina Is Dost Ke,Ab To Yaad Bhi 1 Zamane Ke Baad Karti Ho !!

Dost Dost Nahi Khuda Hota Hai,
Mahsus Tab Hota Hai,
Jab Wo Juda Hota Hai,
Bina Dost Ke Jina 1 Saja Hota Hai !!

Koshish Karo Koi Aapse Na Ruthe Zindgi Me
Apno Ka Sath Na Chhute Rishta Koi Bhi Ho
Use Aise Nibhao Ki Us Rishte Ki Dor Zindgi Bhar Na Tute !!

Tohfa Kya De Tohfa To Hume Mila Hai,
Khuda Ne Aap Jaisa Dost Jo Diya Hai
Wo Tohfa Hi Kya Jiska Koi Mol Ho,
Tohfa To Wo Hai Jo Aapsa Anmol Ho !!

Kya Mangu Khuda Se Aapko Pane Ke Baad
Kiska Karu Intzar Aap Ke Aane Ke Baad
Kyu Dosti Pe Jaan Luta Dete Hai Log
Malum Hua Aapko Dost Banane Ke Baad !!

Dost Ko Dost Ka Ishara Yaad Rehta Hai
Har Dost Ko Aapna Dostana Yaad Rehta Hai
2 Pal Sachhe Dost Ke Sath To Guzaro Maut
Tak Vo Nazara Yaad Rehta Hai !!

Dosti Karna Accha Hai,
Dosti Nibhana Farz Hai,
Dosti Todna Bewkufi Hai,
Or Dosto Ko Disturb Karna...
"Haq Banta Hai Yaaar"

Khuda Ne Dost Ko Dost Se Milaya
Dost Ke Liye Dosti Ka Rista Banaya
Par Kehte He Dosti Rahegi Usi Ki
Kayam Jisne Dosti Ko Dil Se Nibhaya !!

Kimat Pani Ki Nahi Pyas Ki Hoti Hai
Kimat Maut Ki Nahi Saans Ki Hoti Hai
Dost To Bahut He Duniya Me
Kimat Dost Ki Nahi Vishwaas Ki Hoti Hai !!

Saturday, June 19, 2010

0 comments

Husn ke Range le dube


Husn ke Range le dube

Jahane-husn ke rangi nazare humko le dube



Jinhe apna banaya woh sahare humko le dube



Kaha shikva hai gairo ke chalan ka humko


shikayat sirf itni hai humare humko le dube


Bahut mahfuj rakhkha dil ko tufane tamanna se


Magar masum nazaro ke ishare humko le dube


Shabe-furkat to humne jaise taise katdi lekin


Shubah ko dubne wale sitare humko le dube

Dard he dard hain Zindagi me



Maut mangate hai to jindagi khafaa ho jaati hai,
jahar lete hai to wo bhi dawa ho jati hai,
tu hi bata e mere dost kya karu,
jisako bhi chaahte hai bewafa ho jaati hai...



us ko chaha lekin izhar karna na aayakat gayi umar
sari magar pyar karna na aayausne manga kuch to,
judai mangiaur hume inkar karna na aaya...



jeene ki nayi adaa di haikhush rahne ki unhone dava di
haiai khuda unhe sara jaha denajinho ne apne dil me
hume thodi si jagah di hai....



dunia me jine ki chahat na hotiagar khuda ne
muhobbat banayi na hotilog marne ki arzoo na
karteagar muhobbat me bewafai na hoti......

Thursday, June 17, 2010

0 comments

Hindi Shayari Bewafai Shayari Urdu Shayari Love Shayari

tere ishq me mare ham
bas ye dua he rab se
ki wafaye hi kare ham
na gila he koi tujh se
na he koi shikayat
ye dua he ab to rab se
bas tu hame hi chahe
tujhe dil hi dil me chaha
na bataya ham ne tujhse
taa umr tujh ko chaha
na huwe - door - tujhse
ye waada aaj tujh se
ke wafaa karenge tujhse

Tuesday, June 15, 2010

0 comments

Main Aur Merii Tanhaaii :Yaad shayari, Hindi ghazal




Aavaara Hain Galiyon Men Main Aur Merii Tanhaaii


Jaayen To Kahaan Jaayen Har Mod Pe Rusavaaii


Ye Phuul Se Chehare Hain Hanste Hue Gul_Daste


Koii Bhii Nahiin Apanaa Begaane Hain Sab Raste


Raahen Hain Tamaashaaii Rahii Bhii Tamashaaii


Main Aur Merii Tanhaaii


Armaan Sulagate Hain Siine Men Chitaa Jaise


Qaatil Nazar Aatii Hai Duniyaa Kii Havaa Jaise


Rotii Hai Mere Dil Par Bajatii Huii Shahanaaii


Main Aur Merii Tanhaaii


Aakash Ke Maathe Par Taaron Kaa Charaagaan Hai


Pahaluu Men Magar Mere Zakhmon Kaa Gulistaan Hai


Aankhon Se Lahuu Tapakaa Daaman Men Bahaar Aaii


Main Aur Merii Tanhaaii


Har Rang Men Ye Duniyaa Sau Rang Dikhaatii Hai


Rokar Kabhii Hansatii Hai Hans Kar Kabhii Gaatii Hai


Ye Pyaar Kii Baahen Hain Yaa Maut Kii Angadaaii


Main Aur Merii Tanhaaii

Monday, June 14, 2010

0 comments

Main tere haath pe rach jaunga rangon ki tarah,

Main tere haath pe rach jaunga rangon ki tarah,


Tu mera naam kabhi haathon pe saja ke to dekh


Main tere jism mein mehkunga gulabon ki tarah,


Aa kabhi mujhko dil mein basa ke to dekh.


Main tere lab pe chha jaunga muskarahat ki tarah,


Apne honton se mera naam bula ke to dekh.


Main teri aankh mein bas jaunga kajal ki tarah,


Tu meri yaad ka ek khawab saja ke to dekh.


Main bikhar jaunga chaar su khushion ki tarah,


Apne naam se mera naam mila ke to dekh!

Main to chala yaro chand ke pas!


Main to chala yaro chand ke pas!

leker apni kuch tamanna aur aas,

milon ga main wahan aaj chandni se!

bhojhoon ga kuch sawaal aaj chandni ke,



ae chand tujhe chandni ki qasam!

aaj kiun hai pathar ka sanam,

meri aawaz ko na sun paey wo!

tu pukaray to chala aaey wo,



suna hai har shikast main ek jeet hoti hai!

suna hai tujh main sanam ki preet hoti hai,

jal gaya hai aaj mera aashyana teri chandni se!

nawaqif tha ke rootha hai aaj sanam teri chandni se,



banaya gaya tujhko chand is ki waja kia hai!

hota gar main chand to is main bura kia hai,

kiya teray aur meray dil main mushabihat hi nahi!

aesa lagta hai mujhe ke mujh main dil hi nahi,




aesa dil batlado kahan se laaon main!

bikta hia kis bazar main kharid laaon main,

kiya hai aata jis ne tujhko dil e noor ae chand!

maangoon ga main bhi dil ewaz apni jaan

shayari, sad shairy, Indian shairy,


Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon


Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon


Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai


Mager Ab Gungunana chahta Hoon




Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab


Nai Duniya Basana Chahta Hoon


Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin


Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon





Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey


Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon


Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey


Main Jitna Door Jana Chahta Hoon





Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri


Main Teray Pass Aana Chahta Hoon


Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai


K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh


Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh



Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh

Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh




Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost


Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh



Bohat ho chuki mohabbat mein meri ruswai


Ae Khud main wafa kar ke bhi bewafa kehlayi


Ya tu anjam dede meri mohabbat ko tu


Ya hata de hum diwanoo par se apni khudai




Dard kitne hain bata nahin sakti


Zakhm kitne hain dikha nahin sakta




Ankhon se samjh sako tu samjh lo

Ansoon gire hain kitne gina nahin sakta

अजनबी दोस्ती......


अजनबी दोस्ती......

दर्द में कुछ कमी-सी लगती है
जिन्दगी अजनबी-सी लगती है

एतबारे वफ़ा अरे तौबा
दुश्मनी दोस्ती-सी लगती है

मेरी दीवानगी कोई देखे
धुप भी चांदनी-सी लगती है

सोंचता हूँ की मैं किधर जाऊँ
हर तरफ रौशनी-सी लगती है

आज की जिन्दगी अरे तौबा
मीर की सायरी सी लगती है

शाम-ऐ-हस्ती की लौ बहुत कम है
ये सहर आखरी-सी लगती है

जाने क्या बात हो गयी यारों
हर नजर अजनबी-सी लगती है
दोस्ती अजनबी-सी लगती है.......

Dil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi


Dil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi
Shab ki meri aah-o-zaari mujhse kuchh puchho nahi

Baar-e-Gham se mujhpe roz-e-hijr mein ik ik ghadi
Kya kahun hai kaisi bhaari mujhse kuchh puchcho nahi

Meri surat hi se bas maaloom kar lo ham-damon
Tum haqiqat meri saari mujhse kuchh puchho nahi

Shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
Maine ki akhtar-shumari mujhse kuchh puchho nahi

Ham-damon jo haal hai mera karunga gar bayaan
Hogi unki sharm-sari mujhse kuchch puchcho nahi

Wednesday, June 9, 2010

0 comments

Zakh me dil sil nahi sak te zakhme dil dhul nahi sak te.............

zakhme dil seel nhi sakte

zakhme dil dhul nhi sakte



teri yadon ka aey sa phra he

ham usse ubhar nhi sakte



rat din ham ne yad tujhko kia

tujh ko pukara .ro ke dekhlia



meri aanhei hei beasar itni

tum ko har pal bula ke dekhlia



tum mere is janam nhi hoge

mang kar yus dhuda se dekh lia



qun tujhi ko pyar karte hei

jab ki malum he ye dil ko sanam



tu nhi pyar ham ko karta he

tuto oron pe hay marta he



tujh ko apna bana ke dekh lia

hamne pal kei bicha ke dekh lia



fir bhi tujh ko hi pyar ham ne kia

apna sab kuch luta ke dekh lia



bhula de bibbo us mashuq ko tu

jis ne har pal rula ke dekh lia



apna khyal rkhna