Main to chala yaro chand ke pas!
leker apni kuch tamanna aur aas,
milon ga main wahan aaj chandni se!
bhojhoon ga kuch sawaal aaj chandni ke,
ae chand tujhe chandni ki qasam!
aaj kiun hai pathar ka sanam,
meri aawaz ko na sun paey wo!
tu pukaray to chala aaey wo,
suna hai har shikast main ek jeet hoti hai!
suna hai tujh main sanam ki preet hoti hai,
jal gaya hai aaj mera aashyana teri chandni se!
nawaqif tha ke rootha hai aaj sanam teri chandni se,
banaya gaya tujhko chand is ki waja kia hai!
hota gar main chand to is main bura kia hai,
kiya teray aur meray dil main mushabihat hi nahi!
aesa lagta hai mujhe ke mujh main dil hi nahi,
aesa dil batlado kahan se laaon main!
bikta hia kis bazar main kharid laaon main,
kiya hai aata jis ne tujhko dil e noor ae chand!
maangoon ga main bhi dil ewaz apni jaan
0 comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.