Monday, May 24, 2010

Tum Dur Ho Magar

Tum Dur Ho Magar Ye Ehsas Hota Hai,

Koi Hai Jo Har Pal Dil Ke Pas Hota Hai,

Yaad To Sabki Aati Hai Magar,

Aapki Yaad Ka Andaz Kuch Khas Hota Hai !!



Tujhe Dilse Juda Kbhi Hone Nhi Denge

Tujhe Nind Bhi Aaye To Sone Nhi Denge

Teri Muskan Hame Itni Pyari Lagti Hai Ki

Hum Dur Bhi Gaye To Kabhi Rone Nahi Denge !!



Zindgi Kabhi Aapko Hasati Hogi

Kabhi Aapko Rulati Hogi

Yaad Karta Hai Koi Aapko Har Pal

Is Raftar Bhari Zindgi Me Ek Hichaki To Aapko Roj Aati Hi Hogi !!



Tanhayi Le Jati Hai Jaha Tak Yaad Tumhari,

Wahi Se Shuru Hoti Hai Zindgi Humari,

Nahi Socha Tha Chahenge Tumhe Is Qadar,

Par Ab To Ban Gaye Ho Tum Kismat Humari !!



Yeh Faasle Yeh Raste Yeh Dil Ki Majburiya,

Kab Na Jane Khatam Hogi Humari Duriyan,

Jo Waqt Guzara Humne Un Raato Mein,

Un Yaadon Mein Hi Basi Hai Apni Kahaniya !!



Masjid Ki Namaz Ya Mandir Ki Dua Ho Tum,

Ho Khuda Ka Tohfa Ya Khud Khuda Ho Tum,

Ae Mere Rab Khud Hi Karo Faisla,

Dil Mein Rehte Ho Tum Ya Dil Ki Jagah Ho Tum !!



Hum Dard Bhare Is Sagar Main,

Tinke Ki Tarah Beh Jayenge,

Behte Hamein Woh Dekhnge,

Jo Log Yahan Reh Jayenge !!



Chaha To Jindagi Se Bahut Kuch,

Magar Tujhe Pane Ki Ek Pyaas Si Reh Gayi,

Chah Kar Bhi Tujhe Pa Na Sake Hum,

Bus Ab Teri Meethi Si Yaad Reh Gayi !!

0 comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.