Do Dosto Ki Dosti Se Log Jalte Hain,
Tarah-Tarah Ki Baatein Karte Hain,
Jab Chand Aur Suraj Ka Hota Hai Khulkar Milan,
To Use Bhi Log Grahan Kehte Hain !!
Hasakar Hame Rula Mat Dena,
Khas Banakar Ger Bana Mat Dena.
Mana Ki Hum Aapke Khas Dost Nahi,
Isi Baat Ka Bahana Banakar Bhula Mat Dena !!
Milte He Ache Dost Sirf Khushnasibo Ko
Isliye Humari Kismat Se Jalna Chod Dijiye
tamana Ho Agar Humre Dost Se Milne
Ki To Jaker Aina Dekh Lijiye !!
Kahi Ankahi Bato Ki Ada Hai Dosti,
Har Gam Ki Sirf Ek Dawa Hai Dosti,
Sirf Kami Hai Mehsus Karnewalo Ki,
Mehsus Karo To Zami Pe Zannat Hai Dosti !!
In Umeedo Ko Tutne Mat Dena,
Dil Ki Dosti Ko Kam Hone Mat Dena,
Shayad Dost Milenge Hamse Bhi Ache,
Par Bas Is Dost Ki Jagah Kisi Aur Ko Lene Mat Dena !!
Mausam Ke Badlane Ka Intzar Nahi Karte
andhiyon Ke Rukne Ka Intzar Nahi Karte
Yaad Kar Lete Hai Roz Hum Aapko
Aapke Yaad Karne Ka Intzar Nahi Karte !!
Duniya Laut Gayi Mera Gam Dekhkar
Jaise Lauti Hai Lehre Kinar Dekhkar
Mere Janaje ko Kanda Na Dena Dost
Ki Main Jinda Na Ho Jaun Tera Sahara Dekhkar !!
Dil Dil Se Juda Nahi Hote
U Hai Kaise Par Fida Nahi Hote
Dost Se Bada To Dosti Ka Nata Hai
Kyoki Dost Kabhi Bewfa Nahi Hote !!
Dosti Ki Raho Me Akelapan Na Mile,
Zindagi Me Kabhi Gam Na Mile,
Dua Karte Hai Khuda Se,
Tumhe Jo Bhi Dost Mile Kabhi Hum Se Kam Na Mile !!
0 comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.