char din ki ye zind gani he
yusse chotty ye jawaani he
bhul bethe hei ham sabhi yusko
yad yusko koi nahi karta
apne raab se koi nahi darta
ye nahi jan te jaan jani he
moot ayegi wo to ani he
ye nahi jan te rab se milnaa he
apne karmo ka phal to khil na he
jo gunaah kiye sazaye pani he
char din ki ye gindgani he
yusse chotti ye jwaani he
yaad kar lo apne yus raab ko
warna mushkil me jaan ani he
chodh kar sab yahi pe jana he
asli ghar to wahi banana he
koi tum ko fikar nahi yuski
raab ko ekdin muh dikhana he
kesa banda he mera- mere liye
kitni wo namaaze padhta he
waqt he ab bhi tum samhal jao
yad kar lo thoda dar jao
bad me phir to pachtana he
ro ke phir yus ko yun manana he
yus ki rehmaat he sari duni par
yus ki enayat he sare bando par
yus ki rehmaat he to ham or jahaan
salaamat he sari qayenaat yahaan
maan lo yus ko jaan lo yus ko
thoda time yus ko dena he
jis ne dedi sari dunia hame
or har chiz se nawaaza he
phir bhi ham yus ke shukr
guzaar nahi ek din bhi padhte
namaaz nahi kar te yusko yad nahi
yus ka dil bahut dayalu he
suna he maa se zyaada piyaar
ham ko raab kar ta he
maaf karti hei jese galti maa
wo bhi tum ko mafkar deta he
mafi mago ro ke sajde me
gir jao yus ki yado me thodha
yus ki ebadat me ab to lag jao
baat apne rasool ki sunlo
chodh do sare en gunaaho ko
maan lo sari yun ki bato ko
dekhna phir jahaan kyaa ho ga
saj de me sabhi duwa man go
apne rab se na door tum jao
waqt he ab bhi tum samhal jao
char din ki ye zind gaani he
yusse choti he jwaani he
0 comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.