Sunday, June 20, 2010

In memories of My Dad


Abba ki har baat mujhe aati hai bahot yaad
Aankhoon se phir hoti hai ashko ki barsaat
Unki wo pyaari baatyen wo pind o nasihat
Gauhar hain wo be maya, anmol un ki qimat
Chalna mujhe sikhaya is tedhi si dagar per
Dil se dua hai meri, noor barse unki qabar per
Jis waqt wo juda mujh se hoye the
Hathoon mein tha hath, lab kaanp rahe the
Duniya meri un se thi, main tanha khada tha
Waqt aisa kada, umar mein pahle na pada tha
Aate the jo aansu to roke na bane the
Amma ko hum thame hoye khamosh khade the

Kaha hai ye kisi jahandeedah ne Nafees
"Aye Ziya maa baap ke saye ki naqadri na kar
Dhoop Kate gi bahot jab ye shajar kat jayega"
hum ko un ke bad un ka har lafz yaad ayega

0 comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.