Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye
Ye sannata agar had se badhe to kohraam ho jaye
Sitare mashalen Le kar mujhe bhi dhoondne niklain
Mein rasta bhool jaoon to junglon mein shaam ho jaye
Men wo Adam-e-guzeda' n hoon Jo tanhai k sehra men
Khud apni chaap sun kar larza bar-andaam ho jaye
Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh mandon ki
Na ho daaman mein zar'ra aur sehra naam ho jaye
Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat kaafi hai
Hum is se Bach ke chalte hen Jo rasta aam ho jaye
0 comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.