Saturday, June 5, 2010

Phulon ki Tareef sab Karte hain

Phulon ki Tareef sab Karte hain,
Badi Mushkil se Log Kanton pe Gaur Karte hain.
MALI to Sirf Naam ke hote hain,
Phulon ki Hifazat to Kante hi Karte hain...

**~*~*~*~*~*~**~**~*~*~*~*~*~**



Khwaboon mein tera chehraa parhtaa hoon,

Khawaab ko haqeeqat banaoon kaise !!!

Ikhteyaar mein mere ab kuch bhi nahin,

Akele ik aashiyaan banaaon kaise !!!

Bekhudi ki yeh to ibtedaa hai,

Intehaan ki hudd tak jaoon kaise !!!

Meri ghazalein hain tumhaara aainaa,

tanhaayee mein ab nazm banaoon kaise !!!

**~*~*~*~*~*~**~**~*~*~*~*~*~**


Zindagi K Mod par ek aisa waqt Aata hai,
Jab Insaan apne-Aapko tanha pata Hai.
Wahi tanhayia To batati hain ,
Ki Kaun Kiska kitna saath nibhata Hai.

**~*~*~*~*~*~**~**~*~*~*~*~*~**



Jagti aankho me ek khwab aaya,
koi humdard hai mera ye khayal aaya.
chot lagi dil pe toh dhyaan aaya,
kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya.

**~*~*~*~*~*~**~**~*~*~*~*~*~**

Sapne ki tarah tujhe saja ke rakhu,
Chandini raat ki nazroon se chupa ke rakhu,
Meri taqdir mere saath nahi,
Warna zindagi bhar tujhe apna bana ke rakhu.

0 comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.