Tuesday, May 25, 2010

Mujhe phir koi tasalli koi ishara dey do

Mujhe jeeney ki umeed dobara dey do,
Meri doobti kashti ko kinara dey do,

Main dard ke sahil pe tanha khara hoon

Phir aa kar apni baahon ka sahara dey do

Tera daaman to bhara hai sitaron se
Mujhe sadqey mein ek sitara dey do

Mere angan mein aaj andhera hai bahot
Meri dehleez ko phir apna nazara dey do

Chand lamhey tujhe dekhney ki hasrat hai bas
Kab maine kaha ke waqt apna sara dey do

Dekh to sahi tere dar pe aaya hoon main
Mujhe phir koi tasalli koi ishara dey do

0 comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.